aapny riwayat ki sanad poochi...to janab sanad to Qaazi Bezaavi se mangein or saath hi ye bhi ki unhony yahoodiyat ko taqwiyat dene wali riwaytein kyo apni tafseer me bayan ki hain?
Janab Asif Attari sahib, idhar udhar ki ko kahi lakin, Ilmul Adad ko sharai sabit kernye se qasir hain aap, yahan tak ke aap ye kehnye per majboor ho gaye ke hum jaa ker Janab-e-Bezavi (RAH) se poochain ke aap ne ye riwayat kion kot ki.....? yar kia ho gaya hai aap ko???
main ne to ye bhi bata diya ke aik Kashmiri sahib ki kitab main jo ke tarjuma hai is tafseer-e-Bezavi ke pehlye parye ka, ke is riwayat se Ilm-e-Jamal ki dalil nahin li jasakti.... aap phir bhi is ke peechye parye hain.
Janab ab aap hi ne to is koi Ilm-ul Adad ke silsilye main fatwye ki soorat main pesh kia tha ab aap hi keh rahye hain ke Riwayat ki Sanad-o-Hasiat-o-Sehat ke barye main Hazrat-e-Bezavi se poocha jaye??
Is ka to aik hi matlab hai ke be-dalil hi sahi bus chon ke riwayat shuda hai to dalil ho gai.... bhat hi acha ilmi andaz hai aap ke ulama ka......
ye us Qurani ayat ka replacement hargiz nahin ho sakta (na kisi ne Quran ki ayat ki jagah 786 likhny ka hukm diya) ye usky adaad hain just like a code...jisy dekh kar banda Bismillah parh sakta hai...
janab zara fatwye ki taraf nazar dorain, is ku mutabiq "in aadad ko Qurani Alfaz-o-Ayat se khas nisbat hai" or aap keh rahye hain ke bilkul bhi ye kisi aayat ke mutabadil nahin ho sakti...? ya to fatwa ghalat ya phir aap ka khud sakhta jawab..... mazeed ye ke "786 ko ulama ne is liye liya ke Bismillah ke likhnye ka badla ho jaye" aap ke pesh kiye gaye artical ke page 2
jab aapky nazdeek Sahib e tafseer Sahib e ilm sahib e Imaan Qazi Bezavi ki paish karda tafseer me quote riwayat koi hujjat nahin to ye to yahoodiyat ke saath namak halaali ka saboot hi qarar payega ki aap kisi falan falan yahoodi ki book ke page no 10 ko hujjat manty huey...unky transliteration is ilm ko unki jageer bawar karwana chahty ho aap sabit karein ki ye ilm yahoodiyat ki ijaad karda hai...
Bhai sahib aap ko bunyadi tor per ilm hi nahin ke "kabala" kis ilm ka nam hai, Yahoodi is se kis tarha faida utha rahye hain, Nimorology kis bla ka nam hai, Shiayat ke nazdeek ye Ilm Hazrat Ali , jab ke kuch riwayat main Hazrat Jaafar (RAH) se mansoob hai......
Jab aap in sab baton se la-ilm hian to phir aap ke samnye kuch bhi rakh diya jaye aap ke liye Aap ke Ulama hi hujjat hain.......
ab aap ye batain ke aap kis tarha ke sabooton se manye gye?
main to ye bhi bata dena chahoonga ke Nimorology (Ilm-ul-Aadad) ka ilm basicaly yahoodion ne bhi Kaldanion (Chaldian) se liya hai or ye unka (Yaoodion ka) bhi ijaad karda nahin, is main qabil-e-zikar tabdiliyan zaroor yahoodion ki hain kion ke kaldanion ke nazdeek Huroof Ibrani ya Arabi nahin hotye thye
Aqal ke peechy lath lekar doro to yahi bachkany sawaal zehan me aaty hain...humny kab 786 ko bolny ke liye likha jab ki hum isy bismillah ke adaad ki tarah istemaal karty hain (reason apko bhi maloom ki kyo) na ki bismillah shareef ki jagah bolny/parhny ke liye...bewaqoofi ki had hai...
Janab chon ke aap ne kaha ke hum sirf khatoot per jo ke ghair muslim ke hathon main, napak ke hathon main jatye hain, per likhtye hain to phir sab se pehlye aap ko ye karna chahiye ke apnye Fatawaon per se in ko mita dain, wo to yaqeenan kisi ghair muslim ke hathon ya Naapak ke hathon main nahin jatye hongye...? agar han wo jatye hain to Subhan Allah ke Bismillah jo ke aik sorrah ki aik mustaqil ayat hai us ki taazeem to itni lakin Fatawon main mojood Qurani Aayat ka koi khayal nahin, is main mojood Allah ke nam ka, Hazoor-e-Akram ke namon ka kuch ahsas nahin
hum khutoot main our bohat se alfaz ke sath kisi ka nam Abdullah (jis main ke Allah ka lafz aata hai) bhi likh detye hian, kisi ka pura nam je saka Muhammad Ali, Muhammad Taha bhi likh detye hain to kia un ki koi hesiyat nahin........?
Janab jawab detye hoye zaroori hai Pasban-e-Aqal ka bhi sath ho...
is ka bhi solution hia ke kis tarha hum in be-adbion se bach saktye hain, lakin baraye meharbani Ilm-ul-Adad ko sharai sabit kernye ke liye had se na guzar jayen or dalilon ke sath guftogo karin
last sawaal ka jawab haan me nahin to..apky sawaal fizul or bachkany....
Aap ke pesh karda Risale ke page number 3 (printed 4) ke mutabiq Ahl-e-Kashf (yani Ghaib ki batain zahir kernye walon) ke mutabiq in aadad ko in Alfaz ke sath aik khas Batni Rabt (Pooshida Taaluq) hai to phir sawal ka jawab aap ke hi pesh karda risalye main moojood hai.
last sawaal ka jawab haan me nahin to..apky sawaal fizul or bachkany....
Jab aap ke kitabon main likha aata hai ke "Jo shakhs flan soorat ko itni martaba perhaiye ya phir aik makhsoos din ya waqt per makhsoos taadad main is soorat ke naqsh (jo ke ilm-ul-Aadad ki sorat main kuch murraba (Square, Triangle) o Musalath shaklon main likhye hotye hain) ko pieye ga wo flan fazilta hasil karyega ya is ka flan faida hoga (is ke liye door janye ki zaroorat nahin, kisi bhi Shishdah Soorah ki kitab, ya Wazaef -o-Awrad ki kitab utha lain) to phir ye ilm-o- Adad sorat ki misl nahin to phir kia hain...........?
Sab se aakhir main aik mazeed baat aao ke gosh guzarna chahonga ke "Nadan dost se Dana Dushman acha" Lehaza Dana Dushman dhoondhyen or Nadan doston se peecha chura lain
Abdul Salam
Edited by Abdulsalam